Manthan

The real agitation

Name:
Location: India

Hawa ki ore nahi mudte Aashana hum wo hai jo Hawa ka rukh apni ore modte hai....

Thursday, June 15, 2006

beats 4rm within



mausam abhi hamare maqool nahi
mana filwaqt sokoon nahi
ek roz to aaega ujala
roshan hoga apna kashana...

dariyaein to bahati rahti hain, kisne roka hai?
ye muskile bhi hawa ka jhoka hain
aashana hai itni koshish..
jehan me hai abhi bhii kashish..

ki musalasal aae mushkile
ispati ho iraade, buland hote jae hausale....

fasale hain tabhi raste hain
mana raqeebo ke kafile hain
manzoor hain rab k saare faisale
gar kisi mode pe kabhi manzilein
muskurati huee hamse aa mile....

Ways are long
The things which u long
Will certainly one day u belong….
Wait may get prolonged…
But courage & faith pay in Long

inner triangle

kyu har waqt dhoondati hai nazar aashiyana
kyu karta hai man harkate kafirana
kyu dhoondati hai aankhein harwaqt aawaaz wo aashna
kahi bah na jae wufure-asque me mera kashana....

kyu manzil ki taraf kadam nahi uth rahe
jabki hamare beech ab fasale kuch hi rahe
dua hai shama zindagi ki kuch yu jale
ki rakhschinda hamare aashiyane me aa mile....