Khamoshi: The Ethical
Khamoshiyan kuch kahna chahti hain
unki bhi apni aawazein hai
ansuni - si ankahi
Khamoshi bhi ek nazm hai
Pyari - si
mai sunti hu hamesha
kyonki mere antar me uska vistaar hai
Meri khamoshi aaj jyaad khamosh hai
kyunki ye sun rahi hai kuch
sunaana bhi hai ise kuch
Khamoshi dekh rahi hai
yeh kathputlion ka khel
khamoshi sun rahi hai
Aawazein....
jo kabhi dua maangati hain
kabhi matlabparasti ke jaale bunti hai
Khamoshi aur jyaada khamosh ho gayee hai
khud ko hi taqseem kar dia hai
khamoshi jab juba kholegi
mujh pe karam hoga
mujh par hi kahar hoga......
1 Comments:
Excellent....worth applause
Post a Comment
<< Home