Manthan

The real agitation

Name:
Location: India

Hawa ki ore nahi mudte Aashana hum wo hai jo Hawa ka rukh apni ore modte hai....

Friday, May 12, 2006

Ghalib (source internet)

So back after a long break..
m here wid some very beautiful work of Ghalib..


hazaaroN KHwahishaiN 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle
nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle

bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona
aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona
giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki
dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona

dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?

meharbaaN ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
maiN gayaa waqt nahiN hooN ke phir aa bhi na sakooN
zauf meiN taanaa-e-aGHyaar ka shikwaa kyaa hai?
baat kuchh sar to nahiN hai ke uThaa bhi na sakooN

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota
hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota



zikr us pareewash kaa, aur phir bayaaN apnaa
ban gayaa raqeeb aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa

Main wo kyoN bahut peete bazm-e-ghair meN yarab
Aaj hi hua manzoor un ko imtihaaN apna

manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
'arsh se idhar hotaa kaash ke makaaN apnaa

De woh jis qadar zillat hum haNsee meN taleNge
Baarey Aashna nikla unka paasbaN apna

ham kahaaN ke daanaa the? kis hunar meiN yaktaa the?
be_sabab huaa 'GHalib' dushman aasmaaN apnaa

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Hi,

I found one new sher of ghalib in your blog(by new means i heard/read first time).

Thanks a lot, Its good collection.

Nitish

6:23 PM  

Post a Comment

<< Home