Manthan

The real agitation

Name:
Location: India

Hawa ki ore nahi mudte Aashana hum wo hai jo Hawa ka rukh apni ore modte hai....

Sunday, April 13, 2008

Tishnagi

Un raaston se khaufzada rahta hai dil hamara
Milte hain hum jin pe apno se ajnabi ki tarah

Ummeed ka dhaaga bandhe bhi to kyu ab?
Tod gae apne bhi jab har kisi ki tarah

Wo sapna kaid hai palko tale ab bhi
Pyara tha hame jo kabhi Zindagi ki tarah

Zindagi thi Gulzaar kabhi inhi raahon pe
Raunak hai usme ab kafan ki sadagi ki tarah

Dam ghutata hai yaha or kahi ja bhi sakte nahi
Ban kar rah gai hai ye zindagi tishnagi ki tarah

Poochte hain dost aashna ab aap haste nahi
muskane ki koshish lagti hai ab khudkusi ki tarah

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Zindagi thi Gulzaar kabhi inhi raahon pe
Raunak hai usme ab kafan ki sadagi ki tarah...

hello mam u its Aashana not Gulzaar in above line.
m i ritght? :P

nice post.
keep posting.

8:18 PM  

Post a Comment

<< Home