Manthan

The real agitation

Name:
Location: India

Hawa ki ore nahi mudte Aashana hum wo hai jo Hawa ka rukh apni ore modte hai....

Monday, February 18, 2008

The Encyclopedia of Schizophrenic Entity

4. Dil aashna hai

mausam bahut sard hai, benoor
bilkul berang chaadar ki tarah
dilo me safed kuhaase ki parat hai
ye bezubaan hai, ya beaaawaaz?
Kuch ilm nahi…

Us par roz ki tez bearish
Darr lagta hai, kabhi itna jyaada
Ki khamoshiya cheekh padti hain
Raat ke gumnaam sannate me
Par aawaaz nahi aati
Khamoshiyon ki cheekhein
koi sun nahi sakta

aankhon k saamne ki dhundh
dilo pe pade kuhaase
na ye chatate hain
na baarish thamti hai

sab kuch bikhra sa, geela sa
ussme kahi se aata dilaasa, chota sa
jaana hai? Anjana hai? Kiska hai?
Koi or nahi
Mera dil hai, jo mera aashna hai



3. The Color of Pain

Complex are the colors of life
But what’s the color of pain?
White, like the abominable lull of crematory?
Red, like the drooping eyes of myseries.

Or yellow, deep, dirty & muddy
Like the parched lands of drought?
Or is it Green?
Resembling bruises of persecuted people

Is it Black??
Like the coffins of soldiers dying without ammunitions?
May be its golden
Like Gold Medals, renouncing the holders
From worldly happiness
Gifting an aloof asthmatic apex……..


Silver??
Like lives of Hermans of Silver Screen?
Only hypothetical
It may be shiny like Diamond ring
Gulloped for ending sufferings

Or of multishade, like of a Rainbow
coming in dreams of deserted & abandoned hearts
or is it colorless??
Like the air, the water…….& me??????????



2. Purane Furniture: Na-maloom Sa Aks

aalishaan bangale ke ek kone me
pade hain kuch purane bejaan furniture
na rang hai ab na aakaar
be-tarteeb, kacharo ke beech, kircho me bikhra
ab khud kachre me tabdeel
naye daur me ab ye shaleen nahi dikhte
kabhi komal inke pairon k neeche
ab kaaleen nahi dikhte

isse jis karigar ka intezaar hai
wo kabhi nahi aaega
aur ek din ye yu hi pada pada
zaar zaar ho jaega
accha hai kachra na rah kar
kabaadi ki jageer to ban jaega………



1. Faasaley

Faasale
Dastak dete hue har rishtey par
Faisaley
Khud thopati jazbaaton par
Kaafiley
Bahut sare, manzil k iss paar
Silsiley.
Khamoshiyon k cheekhne ki…..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home